Munir Niazi Hamesha Dair

Munir Niazi Poetry

Munir Niazi (Hamesha Dyr kardyta hun)

Hamaisha Dair kar dyta hun mein
.
Zaroori bat kehni ho koi wada nibhana ho
Osy awaaz dyni ho osy wapas bulana ho
.
Hamaisha Dair kar dyta hun mein
Madad karni ho os ki yaar ki dhars bandhana ho
Bohut dairena rasto par kise sy milnai jana ho
.
Hamaisha Dair kar dyta hun mein
Badalty mosamo ki sair mein Dil ko lagana ho
Kise ko yaad rakhna ho Kise ko bhool jana ho
.
Hamaisha Dair kar dyta hun mein
Kise ko mout sy paihly kise gham sy bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch os ko jakai yai batana ho
.
Hamaisha Dair kar dyta hun mein

Comments